Tuesday, 12 November 2019

कविता...,

Bahut kuchh kah jati hai ye kavita,
Hal is dil ka suna jati hai ye kavita,
Kah na sako jo koi bat tum kisi se
Vo darda bhi bayan kar jati h kavita,
Shabdon se mile jo shabda ban jati hai ye kavita,
Apna ho ya paraya sabke dil ko chhu jati hai ye kavita,
Kabhi khushiyon ke pal to kabhi gam ke aansu piroti h kavita,
Man ke har halat ko sanjo jati hai ye kavita,
Padhe jo koi to har dil ko lubha jati hai ye kavita,
Padhne valon ke dil me kai sawal jagati hai ye kavita,
Gar jo koi puche hal-e-dil to kah do ki hai bas ye ek kavita...

#SwetaBarnwal

No comments:

ऐ विधाता...!

 ऐ विधाता...! ना जाने तू कैसे खेल खिलाता है...  किसी पे अपना सारा प्यार लुटाते हो, और किसी को जीवन भर तरसाते हो,  कोई लाखों की किस्मत का माल...